I Miss U My Love...!
Jane Kis Baat Pe Tum Aise Khafa Ho Gai
Shayad Anjaane Mein Koi Mujh Se Khata Ho Gai
Bas Itana To Bata Do Ke Meri Kya Bhool Hai
Phir Chaahe Jo Saja Do Mujhko Woh Kabul Hai
Kuch To Kaho Chup Na Raho Aise Satao Na
Gum sum Ho Kyun Paas Aao Naa
Ruthe Ho Yun Maan Jaao Naa...!

Friday, July 4, 2008

Love poem

MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA

MERI TOOFAAN ME KASHTI, KINARA KON DEGA

YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI

ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI

HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA

MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA

MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI TANHAAYAN HAIN

MERI TAQDEER SE MUJKO MILI RUSWAYIAN HAIN

MERI ANKHON KO KHUSHION KA NAZARA KAUN DEGA

MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA

------------------------------------------------------

Hum ne pyaar main paaya to kyaa paya

Kabhi khud ro diye kabhi Tum ko Rulaya

Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon

Who Zindagi main phir kabhi na behne paya

Saza mujhe mili aur jaza unhain bi

Aisa bhi kya insaaf me hai sir jhukaya

Himmat nahee thi us main Saath mere dene ki

Ab tak na jaane vo kaise chal paya

Kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh

Bikhre hue khawabon ke Purzey udha raha tha woh

Umr bhar pista raha who rishtoon ki chaki mein

Baaqi rahe rishtoon se daaman churra raha tha woh

Apni zidd to woh puri na kar saka

Ruthey huway bachoon ko mana raha tha woh

Sehra me khile phool ko bachane ke liye

Apne ashkoon se uski pyaas mita raha tha woh

Uski yaadoon ko kuch is tarah bhula raha tha

Apne haathoon apna likha mita raha tha woh

Sirf kirdaar hi to badle they usne

Apni hi kahani suna raha tha woh !!!

Hum apni deewangi se jaane jaate hain

Wo apni berukhi se pehchaane jaate hain

Roz miltey hai lekin, kuchh kehte sunte nahi

Mere saamne wo meri dhadkan badhaane aate hain

Shab bhar intzaar mein hum taare dekhaa karte hai

Sabera hone se pehle wo chand bujhane aate hain

Bas ek nazar ke liye hum din bhar taraste hain

Wo shaam ko gamalon ko paani pilaane aate hain

Mere is haalaat pe hansanaa nahi MUSAFIR too

Ishq main sabke saame aise zamaane aate hain

Ram Kumar Chandak.......

No comments: